Pages

Loading

Urdu Bewafai Poetry


Ye Shehar Chorna Hay Magar is Say Peshtar
Os Bewafa Ko Aik Nazar Dekhna Bhi Hay ……
*********************







Hum ne ik bat ki jodai ki,
Aur us be wafa ne haad kar di.
*********************






Wafa shoar kai hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir ajj usi be wafai ki bat karain.
************************






Wo zindagi ho k dunia faraz kia kijiye,
K jis se ishq kro be wafa nikalti hai.
*************************






Wabasta meri yaad se kuch talkhian bhi thin,
Acha kia jo muj ko faramosh kar dia.
************************







Wohi zameen hai wohi asmaan wohi hum tum,
Sawal ye hai zamana badal gea kaise.
************************






Nazar un ki zaban un ki tajab hai k is par bhi,
Nazar kuch aur kehti hai zaban kuch aur kehti hai.
**************************







Muhabbaton me ajab hai dilon ka dharka sa,
K jane kon kahan rasta badal jae.
***********************







Lafaz o maini ki sadakat na badal jae kahen,
Ajj apnon se muje bo e wafa ati hai.
**************************







Logon ki takmeel ka baes banane wale,
Kion kar meri zaat adhori chor gae ho.
*******************************







Lehja badal badl k na kar muj se goftago,
Pehchanta hon rang teri bat bat ka.
**********************






Qateel apna muqadar gham se begana agar hota,
To phir apne parae hum se pehchane kahan jate.
************************






Tabah khod dar pe ik tarfah sitam hai mohsin,
Un ka andaz e karam ghair k ehsas k sath.
*****************************








Sorat badali serat badli harof o hakayat aur hoi,
Apni jaga sacha to bhi kaise muje pehchane muje.
****************************








Saba tarak e muhabbat kar rahe hain,
Muhabbat se zarori kaam kia hai.
************************






Sheher me adam darina bahot the nasir,
Waqt parhane pe mere kaam na aea koi.
************************






Shab ko ho ga ufaq jaan se tera husan taloh,
Ye wo khorsheed hai jo din ko chopa rehta hai.
*****************************






Rakhata hai to nighah me apna hi faida,
Mujh se tera salook bhi soda gari ka hai.
************************






Khod bakhod chor gae hain to chalo theek hai,
Itne ehbab kahan hum se sambhale jate.
*******************************




Pages:          1            2            3            4